Monday 23 September 2013

Sayings Of Masomeen a.s in Urdu

Irshadat e Masomeen a.s


Imam Hassan AS ne farmaya: Qareeb wo hai jissay muhabbat qareeb karay chaahay us ka nasb door ho aur door wo hai jissay adaawat door karday chaahay uss ka nasb qareeb ho (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 361 Hadis no 4, Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)


Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: Jo shaks bari mehnat se Khuda ki ibadat to karay magar wo Allah k muqarar kiay huay Imam ki imaamat ka qaail na ho to is ski koi koshish qabool nahi hai aur wo gumraah hai aur Khuda uss k amalon ko na pasand karta hai aur agar wo mar gaya to uss ki moat kufr o nifaaq ki moat hogi. Wo khud gumraah hen aur doosron ko bhi gumraah karnay waalay hen (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 101 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: Khuda Uss banday par reham farmaaey Jo hamaray Zikr ko Zinda karta hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 344 Hadis no 3)

Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Apnay (Momin) Bhai par andha aetemaad na karo kyun k buhat dheel dainay ki ghalti ki talaafi nahi ho sakti (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 412, Asool e Kafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: Baghair Wilayat e Ahlebait, aamaal uss raakh ki maanind hen k zabardast aandhi waalay din sakht hawa chalay aur ussay uraa kar le jaaey aur unhon ne jo kuch kamaya tha iss men se kuch bhi inn k haath na aaey aur yehi sab se bari gumraahi hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 101 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Naasbi (Dushman e Ahlebait) ki jaanib se Hajj nahi kya ja sakta. Agar Wo tumhara baap hai to phir kya ja sakta hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 142, Asool e Kaafi, Man La Yahzarul Faqih, Altahzeeb)

Imam Hassan Askari AS ne farmaya: Na Naasbi (Dushman e Ahlebait) ki taraf se hajj kia jaaey aur na (uss k) hamraah kia jaaey (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 142, Faroo e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: Agar koi shaks din ko roza rakhay aur raat Allah ki ibadat men basar karay, saara maal sadqay men de day aur tamam zindagi hajj karta rahay lekin agr wo Imam bar haq ki maarifat nahi rakhta taakay inn se muhabbat karay aur iss k tamam af’aal o aamaal is ski rahnumaaee men waaqay hon. Phir na to Wo khuda se kisi ajr o sawaab ka haqdaar hoga aur na momin kah’laanay ka rawaadaar hoga(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 101-102 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Bidd’ati Logon se suhbat ikhtiyaar na karo warna Logon ki nazron men tum inhi mein se samjhay jaaogay aur Rasul e Khuda SAWW ne farmaya hai k Insaan apnay dost aur hamnasheen k deen par hota hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 359 Baab Bidd’ati Logon k paas baithna aur baat cheet karna haraam Hadis No 1, Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Hazoor SAWW ne farmaya: Aaps men mulaaqaat karo, ilmi muzaakira karo aur hadeesain bayaan karo kyoon k hadees bayaan karnay se dil ko zindagi milti hai kyun k jis tarah talwaar zang aalood ho jaata hai dil bhi zang aalood ho jaatay hen (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 28 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Agar koi shaks qayamat men wilayat e ahlebait k aqeeda o nazriyay k saath Khuda ki baargaah men na jaaey to Khuda na iss ki koi naiki qabool karay ga aur na hi iss k kisi gunaah se dar guzar farmaaey ga(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 102 Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: Hamari hadeesain dilon ko zinda rakhti hen(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 28)

Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Agar koi hadees kisi aaqil aadmi se haasil karo wo tamaam dunya aur uss k sonay chaandi se behtar hai(Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 1 Safha 28)